PAIGHAAM...................kuch ashaar

some nazms, ghazals and couplets....a few mine..others borrowed...some translated... just wanted to share some very beautiful interveavings...read on

My Photo
Name:
Location: Gurgaon, Haryana, India

Friday, May 12, 2006

lehrein

samander ki lahrein,
apne saro pe jhaag ke taaj sajaaye,
ithlaati hui,
saahilon ki taraf badhti hain,
saahilon par chattaane hain,
lahrein chaknaachur ho jaati hain,
aksar sapne bhi, sachaaiyon se takraa kar yu hin toot jaate hai,
magar dil woh kambakth hai jo phir bhi umeed karta hai,
shayad kahin, shayad kabhi...........

Saturday, May 06, 2006

MANZILON SE MANZILON TAK....

koi nahin aataa
is raah par akele khade
sochtaa hoon kya sahi raah hai ye
kyaa is akeli see raah par koi aayegaa
kyon aayega
mai khud nahin jaantaa iskee manzil kyaa hai
chal pada hoon bas
kuch ghabraaye se chehre takraaye the
kuch pal ke liye manzil ka nazaaraa tha
par thak kar vahin ruk gaye wo
aur main aagay nikal gaya

bohot akelapan hai is mod pe
ik andheraa saa chaayaa hai
door kohre ke peechay shaayad manzil hai
wohee manzil jo dikhtee thee kohre ke peechay
jab mai chalaa tha
kitnaa waqt guzar gayaa chalte chalte
wo manzil ab bhee utnee hee door lagtee hai
kya wo bhee chal rahee hai
kya use bhee ik manzil kee talaash hai
manzilon se manzilon tak bhaagte in raaston par
kahin to milegi aisi ek manzil
jahan se aglee manzil kaa raarstaa hee na hoga
ruk jaaongaa wahaan
is intezaar mein ke mujh jaisaa hee koi
raah ke khatm hone ke intezaar mein
kohre ke peechay apni manzil dhoodte aayega
aur meri tarah ruk jaayega
waheen se shuru hogee us nayee manzil kee talaash
jiskaa raastaa nahin...
jise kisine abhee tak paayaa nahin.....

ZARAA SAA QATRAA....

zaraa saa qataraa kahin aaj agar ubharataa hai
samandaron hii ke lahaje mein baat karataa hai
sharaafaton kii yahaaN koii ahamiyat hii nahin
kisii kaa kuchh na bigaado to kaun Darataa hai

QADAM USEE MOD PE JAME HAIN........

qadam usii mod par jame hain
nazar samete hue khadaa hun
junuu ye majabuur kar rahaa hai palat ke dekhuun
Khudii ye kahatii hai mod mud jaa
agarche ehasaas kah rahaa hai
khule dariiche ke piichhe do aankhen jhaankatii hain
abhii mere intazaar mein vo bhii jaagatii hai
kahin to us ke goshaa-e-dil mein dard hogaa
use ye zid hai ki main pukaaruun
mujhe taqaazaa hai vo bulaa le
qadam usii mod par jame hain
nazar samete hue khadaa huun

MAUSAM KAA JHAUNKAA......

kisi mausam ka jhaunka tha
jo is deewaar par latki hui tasveer tirchhi kar gaya hai
gaye sawaan mein ye deewarein yoon seeli nahin thi
na jaane is dafa kyun inmein seelan aa gayi hai
daraarein pad gaye hai aur seelan is tarha baithti hai
jaise khushk rukhsaaroon pe geele aansu chalte hain......