MANZILON SE MANZILON TAK....
koi nahin aataa
is raah par akele khade
sochtaa hoon kya sahi raah hai ye
kyaa is akeli see raah par koi aayegaa
kyon aayega
mai khud nahin jaantaa iskee manzil kyaa hai
chal pada hoon bas
kuch ghabraaye se chehre takraaye the
kuch pal ke liye manzil ka nazaaraa tha
par thak kar vahin ruk gaye wo
aur main aagay nikal gaya
bohot akelapan hai is mod pe
ik andheraa saa chaayaa hai
door kohre ke peechay shaayad manzil hai
wohee manzil jo dikhtee thee kohre ke peechay
jab mai chalaa tha
kitnaa waqt guzar gayaa chalte chalte
wo manzil ab bhee utnee hee door lagtee hai
kya wo bhee chal rahee hai
kya use bhee ik manzil kee talaash hai
manzilon se manzilon tak bhaagte in raaston par
kahin to milegi aisi ek manzil
jahan se aglee manzil kaa raarstaa hee na hoga
ruk jaaongaa wahaan
is intezaar mein ke mujh jaisaa hee koi
raah ke khatm hone ke intezaar mein
kohre ke peechay apni manzil dhoodte aayega
aur meri tarah ruk jaayega
waheen se shuru hogee us nayee manzil kee talaash
jiskaa raastaa nahin...
jise kisine abhee tak paayaa nahin.....
is raah par akele khade
sochtaa hoon kya sahi raah hai ye
kyaa is akeli see raah par koi aayegaa
kyon aayega
mai khud nahin jaantaa iskee manzil kyaa hai
chal pada hoon bas
kuch ghabraaye se chehre takraaye the
kuch pal ke liye manzil ka nazaaraa tha
par thak kar vahin ruk gaye wo
aur main aagay nikal gaya
bohot akelapan hai is mod pe
ik andheraa saa chaayaa hai
door kohre ke peechay shaayad manzil hai
wohee manzil jo dikhtee thee kohre ke peechay
jab mai chalaa tha
kitnaa waqt guzar gayaa chalte chalte
wo manzil ab bhee utnee hee door lagtee hai
kya wo bhee chal rahee hai
kya use bhee ik manzil kee talaash hai
manzilon se manzilon tak bhaagte in raaston par
kahin to milegi aisi ek manzil
jahan se aglee manzil kaa raarstaa hee na hoga
ruk jaaongaa wahaan
is intezaar mein ke mujh jaisaa hee koi
raah ke khatm hone ke intezaar mein
kohre ke peechay apni manzil dhoodte aayega
aur meri tarah ruk jaayega
waheen se shuru hogee us nayee manzil kee talaash
jiskaa raastaa nahin...
jise kisine abhee tak paayaa nahin.....
4 Comments:
YUN BEET RAHA HAI ZINDAGI KA SAFAR KI NA MANZIL KA PATA NA HUMSAFAR KI
KHABAR...
KUCH DHOONTI SI NAZAR ..KUCH POOCHTI SI ZUBANN...
NA JAANE KAHA DHEHREGA KI YEH JASBAATON KA TOOFAN
aur kya hai jeevan hamara,
siwaaye chand sapno ke,
manzil mil bhi jaaye to adhuri hai khushi,
jab tak saath na ho apno ke....
ek umeed ke sahaare chala chal,
umeed hi raasta dikhayegi,
bas apni soch ko kamyaab kar dena,
tujh tak teri manzil khud chal kar aayegi.....
Prerna
wah..!!
i have never thought of life they way u have described it...
Post a Comment
<< Home