PAIGHAAM...................kuch ashaar

some nazms, ghazals and couplets....a few mine..others borrowed...some translated... just wanted to share some very beautiful interveavings...read on

My Photo
Name:
Location: Gurgaon, Haryana, India

Monday, September 11, 2006

jab kabhi.......

Jab kabhi chain se aakhien band ki

to ik jaanaa sa chehraa nazar aaya

Jis ki yaad se bachaa kiye kab se

Usee ko saamne khadaa paaya


Wo kis sukoon se kaate hain zindagee apnee

Humein to bechainiyon ne roz apnaayaa


Kwaab aa aak ke chalte rehte hai chat par

Neend ne kabhi mera dawaaza nahin khatkaaya


Chal pade the ik din unkee gali ki aur

Besabab baithe the, jaane kyaa khayaal aaya


Kitnaa has ke baat kiye the tumse aaj

Kitnee aasaani se apne gham ko chupaaya


Teri aawaaz ik leher see ched jaati hai zehen mein

Aaj fir maine wohi bhooli ghazal ko gungunaya


Kal fir woheen laut ke jaanaa hoga

hazaaron baar haar kar jis mehfil se mai aayaa


Kitnee kwahishen sajaayee thee tere milne kee humne

Teri chaahaton ke saanme khud ko bohot chota paya


Kitni mushkilon se samete rakkha tha khud ko

Tune ik baat kahi, maine khud ko fir bikhraa paaya


Chal padoonga theri mehfil mein kal fir

Ik jhalak ke liye khud ko kitnaa bebas paaya


Fir wahi log, wahi baatein, wohi shor, wahi bebasi

Khud ko har baar hazaaron mein tanhaa paaya


Kya ye mai hoon, mera chehra meri aawaaz hai?

Shaayad khud ko mai kayee mod peechay chod aayaa……


5 Comments:

Anonymous Anonymous said...

Ye jo khalish si satati hai
alekepan ko badha jaati hai
teri tanhayion ko hawa deti hai
tere wajood ko hila jaati hai
ye jo yaad kabhi jaati nahi
ye tasveer jo mit paati nahi
ye yuddh jo tum khud se larte ho
ye pyaar jisse kehne se darte ho
kabhi to khud ko bhulado
jo man mein kulmula raha hai
sab usse suna do
wo jo ho nahi sakta,
usse hone ka mauka do
wo jo keh nahi sakte
uska saar uski rooh mein utaar do
haarna fitrat nahi hai tumhari
to yun hi jaane mat do usse
Kismat khel chuki apni baazi
ab tumhari Baari!

1:43 PM  
Anonymous Anonymous said...

nahin yeh zindagi aasaan
nahin rishte yeh ehsaas sthir
kabhee zindagi kabhee khushi hai
to kabhee sabse mushkil kashmkash
par hai yahi zindagi..
to ae dost guzaae le kuch pal khushi ke
sirf apne liye..
apni zindagi apni umeed apni hasraton ke liye..

10:31 PM  
Blogger Pawan Soni said...

aisa akser kyun hota hai..
jab dile suna sa hota hai..
teri hee tasvir aakhon mai..
tera hee chehra hota hai..

5:32 PM  
Anonymous Anonymous said...

zindagi se kya kya chahat na kee..
kabhee dua khud ke liye kee to chahte tumhari thee..
kabhee tumse shuru hoti thee jo chaht ....
shaayd naam kissi aur ke kee hai aaj..
par fir bhee nazron ko aaj bhee hai tumhara intezaar!!

9:02 PM  
Blogger Unknown said...

Hum naaraz tujhse to kabhi bhi na the, ye baat tujhe samjhayen bhi to kaise, tera haanth jo hataya tha mere kaandhe se...to mere dil mein thi khwahish ki shayad tu dobara rakhe....

11:36 PM  

Post a Comment

<< Home