lehrein
samander ki lahrein,
apne saro pe jhaag ke taaj sajaaye,
ithlaati hui,
saahilon ki taraf badhti hain,
saahilon par chattaane hain,
lahrein chaknaachur ho jaati hain,
aksar sapne bhi, sachaaiyon se takraa kar yu hin toot jaate hai,
magar dil woh kambakth hai jo phir bhi umeed karta hai,
shayad kahin, shayad kabhi...........
apne saro pe jhaag ke taaj sajaaye,
ithlaati hui,
saahilon ki taraf badhti hain,
saahilon par chattaane hain,
lahrein chaknaachur ho jaati hain,
aksar sapne bhi, sachaaiyon se takraa kar yu hin toot jaate hai,
magar dil woh kambakth hai jo phir bhi umeed karta hai,
shayad kahin, shayad kabhi...........
3 Comments:
dil agar umeed karna chod dega to deemag nahi ban jayega? dil ki ummeedon ko dimag ka sahara le kar poora karne ki koshish hi zindagi hai.
zindagi ek sagar hai...
khwahisho ka..armaano ko...kabhi tootti..kabhi bhigarti..umedo ka..
zindagi ek kafila hai..
milte bhichadte yaaro..ka...
manzil tak hamsafar miljaye..yeh to sapna hi har zindagi ka..
par ae dost..
jo do kadam saath chale woh bhi hai hissa is zindagi kaa..!!
so keep ur umeeds high n cherish old memories!!
ithlaane do in lehron ko...
aakhir to chaknachoor ho jaati hai..
aane do in sapno ko..
akhir to haqueeqat mein kho jaate hai...
bas tum wahi raho..
woh chattan ban ke..jo har lehar ko ithlati dekhti hai..
mehsoos karti hai..
tum woh haqueeqt bano ..
jo sapno ko poora karti hai..
bas ek aks rehne do in sapno ka..in lehron ka..
zindagi ko yeh aur haseen kar jaati hai..
Post a Comment
<< Home