PAIGHAAM...................kuch ashaar

some nazms, ghazals and couplets....a few mine..others borrowed...some translated... just wanted to share some very beautiful interveavings...read on

My Photo
Name:
Location: Gurgaon, Haryana, India

Saturday, November 04, 2006

Kyaa Bataayen.....

kya bataayen ke jaan gayee kaise...
phir se dohraayen wo ghadi kaise......

waqt pe paaon kab rakhaa humne....
zindagee muh ke bal giri kaise....

kisne raste mein chaand rakhaa tha....
mujhko thokar wahan lagee kaise....

aankh to bhar gayee thi paanee se....
teri tasveer jal gayee kaise....

Hum to ab yaad bhee nahin karte...
aapko hichkee lag gayee kaise...

kya bataayen ke jaan gayee kaise...
phir se dohraayen wo ghadi kaise......

Gulzaar sahab

2 Comments:

Anonymous Anonymous said...

kya hua fir shabdo mein udaasi kyun hai...
kya ua fir aankhen sooni kyun hai...
kyun aaj fir zindagi se naraazgi hai..
aaj fir beeti mazilon pe aahen kyun hai..
dost mere zindagi rangeen hai...khushiyan aur bhee aseem hai..
chod de woh raasten ..chod de woh yaadein jinsen zindagi tero ghamgeen hai..!!

11:58 PM  
Anonymous Anonymous said...

kya hua aaj fir shabdon mein udaasi kyun hai...
kya hua fir aankhen aaj sooni kyun hai...
kyun aaj fir zindagi se naraazgi hai..
aaj fir beeti mazilon pe aahaen kyun hai..
dost mere zindagi rangeen hai...khushiyan aur bhee aseem hai..
chod de woh raasten ..chod de woh yaadein jinsen zindagi teri ghamgeen hai..!!

11:59 PM  

Post a Comment

<< Home