kaisi zindagi hai.....
Kyaa kuch kare insaan
Apnee haden banaane mein zindagee lagaa dee
Aaj unhee se aagay jaane kee koshish mein hoon..
Sochtaa hoon aajkal
ke kuch aur ghantay de deta agar tu din mein,
to shaayad is zindagee ke maane badal jaatay
par shaayad mujhse ummeed rakhne waale bhee
meri is sahooliyat kaa faidaa uthaate
aur ek din fir mai kuch aur ghanton kaa izaafaa maangtaa.....
Kaise naadaan hain hum,
kuch chain ke pal dhoondtay hain,
har pal kaa hisaab rakhte hain
par chain ka ek pal bhee nahin rakhte apne hisaab mein
kahan se milega chain?
Subha 6 baje se shuru ho jaataa hoon
din ke har ek pal mein wazan daaltaa hoon
aur shaam tak usee wazan ko apnee palkon pe uthaaye,
raat ko adh-khulee aankon se dekhne kee naakaam koshish kartaa hoon
Wo shaam ke halke pal dekhe sadiyan ho gayee!
'Chutti pe jaayenge,
Chaar paanch din ke liye
Mobile band kar ke'
Ye keh kar ek ajeeb see hasee has dete hain hum…
Sach hee kaha hai…
‘Dil ke khush rakhne ko ghalib ye khayal achaa hai’
Aao jiyen…
apnee hadon ko kuch aur badhaayen..
kuch ghantay aur maangen..
kuch aur bhaaree pal..
kuch aur thakaann se band hotee aankhon se dekhi dhundlaaee raatein
kuch aur chutti pe jaane ke mansoobay…
Kaisi zindagi hai ye?
Kya yehi zindagi hai?