PAIGHAAM...................kuch ashaar

some nazms, ghazals and couplets....a few mine..others borrowed...some translated... just wanted to share some very beautiful interveavings...read on

My Photo
Name:
Location: Gurgaon, Haryana, India

Saturday, November 25, 2006

kaisi zindagi hai.....

Kyaa kuch kare insaan


Apnee haden banaane mein zindagee lagaa dee

Aaj unhee se aagay jaane kee koshish mein hoon..


Sochtaa hoon aajkal

ke kuch aur ghantay de deta agar tu din mein,

to shaayad is zindagee ke maane badal jaatay

par shaayad mujhse ummeed rakhne waale bhee

meri is sahooliyat kaa faidaa uthaate

aur ek din fir mai kuch aur ghanton kaa izaafaa maangtaa.....


Kaise naadaan hain hum,

kuch chain ke pal dhoondtay hain,

har pal kaa hisaab rakhte hain

par chain ka ek pal bhee nahin rakhte apne hisaab mein

kahan se milega chain?


Subha 6 baje se shuru ho jaataa hoon

din ke har ek pal mein wazan daaltaa hoon

aur shaam tak usee wazan ko apnee palkon pe uthaaye,

raat ko adh-khulee aankon se dekhne kee naakaam koshish kartaa hoon


Wo shaam ke halke pal dekhe sadiyan ho gayee!


'Chutti pe jaayenge,

Chaar paanch din ke liye

Mobile band kar ke'

Ye keh kar ek ajeeb see hasee has dete hain hum…

Sach hee kaha hai…

‘Dil ke khush rakhne ko ghalib ye khayal achaa hai’


Aao jiyen…

apnee hadon ko kuch aur badhaayen..

kuch ghantay aur maangen..

kuch aur bhaaree pal..

kuch aur thakaann se band hotee aankhon se dekhi dhundlaaee raatein

kuch aur chutti pe jaane ke mansoobay…


Kaisi zindagi hai ye?

Kya yehi zindagi hai?

Saturday, November 04, 2006

Kyaa Bataayen.....

kya bataayen ke jaan gayee kaise...
phir se dohraayen wo ghadi kaise......

waqt pe paaon kab rakhaa humne....
zindagee muh ke bal giri kaise....

kisne raste mein chaand rakhaa tha....
mujhko thokar wahan lagee kaise....

aankh to bhar gayee thi paanee se....
teri tasveer jal gayee kaise....

Hum to ab yaad bhee nahin karte...
aapko hichkee lag gayee kaise...

kya bataayen ke jaan gayee kaise...
phir se dohraayen wo ghadi kaise......

Gulzaar sahab

Thursday, November 02, 2006

kal kaa akhbaar....

Just love the way Gulzaar sahab manages to relate some of the most inamimate things to emotions...

saamne aaye mere dekha mujhe baat bhee kee
muskuraaye bhi puraane kisi rishte ke liye.......
kal kaa akhbaar tha bas dekh liya rakh bhee diya....