jab kabhi.......
Jab kabhi chain se aakhien band ki
to ik jaanaa sa chehraa nazar aaya
Jis ki yaad se bachaa kiye kab se
Usee ko saamne khadaa paaya
Wo kis sukoon se kaate hain zindagee apnee
Humein to bechainiyon ne roz apnaayaa
Kwaab aa aak ke chalte rehte hai chat par
Neend ne kabhi mera dawaaza nahin khatkaaya
Chal pade the ik din unkee gali ki aur
Besabab baithe the, jaane kyaa khayaal aaya
Kitnaa has ke baat kiye the tumse aaj
Kitnee aasaani se apne gham ko chupaaya
Teri aawaaz ik leher see ched jaati hai zehen mein
Aaj fir
Kal fir woheen laut ke jaanaa hoga
hazaaron baar haar kar jis mehfil se mai aayaa
Kitnee kwahishen sajaayee thee tere milne kee humne
Teri chaahaton ke saanme khud ko bohot chota paya
Kitni mushkilon se samete rakkha tha khud ko
Tune ik baat kahi,
Chal padoonga theri mehfil mein kal fir
Ik jhalak ke liye khud ko kitnaa bebas paaya
Fir wahi log, wahi baatein, wohi shor, wahi bebasi
Khud ko har baar hazaaron mein tanhaa paaya
Kya ye mai hoon, mera chehra meri aawaaz hai?
Shaayad khud ko mai kayee mod peechay chod aayaa……